Aba Saumpa Diya

Aba saump diya ees jeevanka, sab bhar tumhare hatho may (2)
Hai jeet tumhare hatho me, aur har tumhare hatho may (2)
Mera nishchaya bas ek yahee, ek bar tumhein pa jaun may (2)
Arpan kardun duniya bhar ka, sab pyar tumhare hatho may (2)

Jo jag mein rahun to aise rahun, jyon jala mein kamal ka ful rahe (2)
Mere sab gundosh samarpit ho, kartar tumhare hatho may, bhagvan tumhare hatho may
Yadi manav ka muje janma mil le, to tav charno ka pujari banu (2)
Is pujak ki ek ek rag ka, ho tar tumhare hatho may (2)

Jab jab sansar ka kaidi banu, nishkam bhavase karma karun (2)
Fir ant samaymen pran tajun, nirakar tumhare hatho may, sakar tumhare hatho may
Mujamen tujamen bus bhed yahi, mein nar hun tum narayan ho (2)
Mein hun sansar ke hathomen, sansar tumhare hatho may (2)

Aba saump diya ees jivanka, sab bhar tumhare hatho may (2)
Hai jeet tumhare hatho may, aur har tumhare hatho may (2)